Jahez
𝗝𝗔𝗛𝗘𝗭
ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂ღ꧁꧂
Jo ladka ya ladke waale Jahez mangate hai, unko chourahe par taang kar paththar marna chahiye.
(Mere hisab se)
Lekin ladki waale bhi kam nahi hote. 99% baap aur maan pahle se hi ye tay kar lete hai ke bina paisa diye ladka nahi milega..
To ab kis ko kya bola jaaye..
Aur kuchh log kahte hain mujhe Jahez nahi chahiye. Aap apne marzi se jo dena chahte ho de dena...
Aur ladki wala usko ek bike aur truck bhar ke saaman deta hai..
Mere bahen ke liye Ammi abbu jab rishta dhundh rahe the,
To unki niyat ye pahle se thi ke bina 1, ya 1. 5 lakh diye achha rishta is zamane me nahi milne wala..
(Aur yehi soch Aaj 99% logo ka hai)
Is se mai shakht naraaz tha aur ammi abbu se ye kahta tha jaisi Aap log niyat karenge Allah waisa hi dega lehaza pahle se ye sab faltu ki baqwas mat sochiye,
to
Abbu ammi ko meri baat samjh nahi Aayee fir mere bhai sahab mujhe samjhane lage..
Aur bole'n, dekh pahle wala dour nahi hai Aaj is dour me koi bina paisa liye shaadi nahi karta....
Maine kaha Achha ye baat hai....
Bhai bole haan....
Mai bola theek hai ek baat bataiye, kya Aap lenge ladki waale se paisa...
Bhai bole nahi..
Maine kaha Aap nahi lenge aur mai bhi nahi lunga.. to kya ham dono hi dunya me sabse deendaar bache hain ???
To bhai sochne lage aur unko meri baat samjh me Aagayee...
Aur ummid karta hun Aap ko bhi samjh Aagayee hogi..
To Aye mere sunni bhaiyo'n Allah ke liye Allah se daro,
Aur Allah par bharosa karo, tum jaisa niyat karoge Allah tumhe waisa hi dega,
Hamare pyare Aaqa صلی اللہ علیہ وسلم ne jo tarika bataya usi tarah shaadi karo,
Ek hadees me aata hai Aap Sallallahu alahi wasallam ne farmaya nikah ko aasan banao aur zinakari ko mushkil banao (Tirmizi)
Lekin is JAHEZ ke chakkar me nikah ko itna mushkil bana diya hai, logo ne ke
Kamane khane waala insaan apni puri zindagi 2 beti ke shaadi me kharch kar deta hai, (yaani puri zindagi paisa kamata hai tab ja kar 2 beti ki shaadi kar paata hai)
Hame kya hogaya hai kyu ham Aaj hindu ke tarike ko apna kar Apni dunya Aur Aakhirat dono barbaad kar rahe hai?
Dunya Aakhirat bhi barbaad hua,, fir ladke ke shaadi me ladki Waale ka ghar khaali aur beti ke shaadi me Apna ghar khaali,
Allahu akbar,
Zara gour to kar aye insaan tu kya kar raha hai,
Allah aur uske Habib Alaihissalam ki mukhalifat bhi kar raha,
Tera dunya bhi barbaad ho raha Aur teri Aakhirat, bhi
Aur tujhe faida kuchh nahi
Beta ke shaadi me liya aur beti ke shaadi me, diya,
Socho mere pyare bhaiyon,
Agar shariyat ke Roushni me shaadi karoge to kitna faida, hai
Na dunya barbaad hogi na Aakhirat, Aur Allah aur uska pyara Habib sallallahu alaihi wasallam bhi raazi,
Aur Karna kya hai, kuchh nahi,, beta ke shadi me ladki waale se kuchh mat lo,
Aur ladki ke shaadi me kuchh mat do, baat khatam
Nikah ko Aasan banao.
Aur kuchh log ye bhi kahte hain ke are mai nahi lunga lekin mere walid nahi manenge aisa hai, waisa hai,
Iska jawab sirf ek hai shaadi Aap ko karni hai Apke walid ko nahi..
Allah ne hame Haath pair diya hai mard banaya hai
To Hame chahiye ke shaadi shariyat ke Roushni me kare'n Aur Apna farz Ada kare'n
Aur
Wahabi deobandi ya kisi bhi badmahab ko na apni beti do na beta,
Sunni chaahe gareeb hi kyu na ho sunni se hi karo nikah,
Aur Shariyat ke Roushni me zindagi guzaane ki puri koshish karo,
•┈┈┈┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈┈┈┈•
Post achhchhi lage to jyada se jyada share kare Sawab ki niyat se
Ilm e Deen Sikhna Farz Hai
Ilm e Deen Sikhne Ke Liye Hamare Group Ko Join Kare
https://chat.whatsapp.com/BeGC4EsKwOa59JrEAGwS9Z
Talib e Dua ⤵️
Muhammad Emran Razvi
Comments
Post a Comment