Posts

Showing posts from February, 2021

Pichhe is Imam ke kahna kufr hai (bad-aqeedah Imam ke picche namaz padhte waqt)

Pichhe is Imam ke kahna kufr hai (bad-aqeedah Imam ke picche namaz padhte waqt) Qutbe Madina, Hazrate Shaykh Ziauddin Madani Rahimahullahu Ta'ala Se Namaz Ke Baare Mein Sawal Kiya Jaata Ke Wahabi Imam Ke Pichhe Padhi Jaane Waali Namaz Ho Jayegi Ya Nahin? Aap Farmate Ke Agar Imam Gustakhe Rasool Ho Aur Muqtadi Ko Ye Baat Achhi Tarah Pata Ho To Mere Nazdeek (Iske Bawajood) "Pichhe Is Imam Ke" Kehna Kufr Hai Ye Bhi Farmaya Karte Ke Hijaaze Muqaddas Mein Namaz Ki Imamat Ka Mas'ala Naya Nahin Hai Balki Musalmano Par Namaz Ki Tangi Ka Ye Chautha Daur Hai Pehla Daur Wo Tha Jab Ameerul Momineen Hazrate Sayyiduna Usmaane Ghani Radiallaho Ta'ala Anho Ko Shaheed Kiya Gaya To Aksar Sahaba Ne Balwaaiyo Ke Muqarrar Karda Imam Ke Pichhe Namaz Nahin Padhi Us Waqt Tak Ke Hazrate Ali Ka Zuhoor Hua Dusra Daur Yazeed Maloon Ka Aaya Jisne Imame Aali Maqaam Ko Badi Bedardi Se Zibah Karwaya, Us Waqt Bhi Aksar Sahaba Aur Tabayeen Ne Unke Muqarrar Karda Imam Ke Pichhe Namaz Padhne Ko Bura...

Khana Khane ke Aadab aur Sunnat Tarika

Khana Khane ke Aadab aur sunnat tarika⤵️ 1.  Khana khane se pahle hamesha hath dhona chahiye (isse hatho ki gandagi nikal jayegi) 2. Jab khana shuru kare to ‘Bismillah’ padhe, (warna aapka khana shaitan ke pet mein chala jayega). 3. Khana hamesha beth kar khaiye. (ye sunnat bhi hai aur sehat ke liye bhi accha hai) 4. Khana sir dhak kar khaiye 5. Khana hamesha sidhe (right) hand se khaiye. 6. Koshish kariye ki khana sidhi daadh (right side ke teeth) se chaba kar khaiye 7. badi roti ko daant se kaat kar na khaiye balki usko taud kar, uske tukde ko khaiye. 8. Khana utna hi lijiye jitna aap kha sakte ho, zyada khana lekar bekar na kare. 9. Khana ukdu beth kar khana behtar hai 10. Khane ke shuru mein thoda paani pijiye aur beech mein paani pijiye, ye sehat ke liye bhi faidemand hai lekin aakhri mein paani mat pijiye, paani khane ke 1 ghanta baad pijiye. Jo khane ke foran baad paani pite hain unko aisa karne mein thodi takleef hogi lekin kuch dino baad aadat ho jayegi. 11. Agar...

Balo me kala rang ya kali mehndi lagana kaisa?

☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆ Sawal: ➡️  Balo me kala rang ya kali mehndi lagana kaisa? Jawab: ➡️ Khalifa e Huzoor Tajushshariah_ Mufti Muhammad Sufi Kaleem Hanfi Razvi Sahab ⤵️ https://youtu.be/oKbOoCC7C1Q ⬅️ ☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️ Is link ke video ko zaroor sune ⤴️ ☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆ اَلصَّـلٰوةُ وَالسَّــلَامُ عَلَيكَ یَا رَسُــوْلَ الله ﷺ  بسم الله الرحمن الرحيم ☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆ Kaale rang ke ilawah har tarah ke rango se baal daadhi rang sakte hain Kale Rang se baal o Dadhi rangna haraam hai ☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆ 💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚 Hadees shareef men hai Sarkar e aqdas ﷺ irshad farmate hain jo siyaah khizaab kare Allah ﷻ roz e qiyaamat uski taraf nazr e rahmat na farmayega (Fatawa razviyyah jild 9 safah 31 hissa 1 ) 💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚 Ek aur hadees shareef men hai keh jo siyaah khizaab kare qiyaamat men Allah تعالى uska munh siyaah (kaala karega) (Fatawa razviyyah jild 9 safah 105 Hissa 2) 💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚 Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barail...

Dawat e Ilyasi se Chand Sawalat

 https://youtu.be/syBTCIkmFdM  ⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️ DAWATE ILYASI WALO SE CHAND SAWALAT⤵️ ☆▬▬▬▬ஜ۩✿۞✿۩ஜ▬▬▬▬☆ Kya jandar ki tasweer banana ya banwana jayez hai. Agar hai to kis hadees se sabit hai. Kya sirf ek hi rang ka amama bandhna wobhi sabz rang ka sunnat hai ya mukhtalif rango ka sunnat hai. kya camere k samne baith kar rona dhona kisi buzrug ki sunnat hai ya chhup kar rone ka hukm hai. Kya amame me ek ya do phool lagana sunnat hai. Agar hai to kis hadees se sabit hai. kya god me takiya rakhna sunnat hai. Agar sunnat h to kis hadees se sabit hai. Kya bayan ke doran dono hathon me char char jhandiyan lekar bar bar hilana sunnat hai. Agar sunnat hai to sabit karo. Radd e Badmazhab karna farz e aazam hai magar firbhi DI kyu mana karti hai, or agar khud sunni hau to radde badmazhab se parhez kyu karti hai. Jab aapne tanzeem ka name DI rakha hai to modi,adwani, maya wati, uma bharti jaise logo ko dawat e Islam kyu nahi dete ya ye dawat e Islam sirf musalmano ke liye hi ha...

Photo/video ka masla ikhtelafi nahi hai

 https://youtu.be/X1iWkHXdLF0 ⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️ Photo/Video ka masla Ikhtelafi nahi hai  ☆▬▬▬▬▬ஜ۩✿۞✿۩ஜ▬▬▬▬▬☆ Sabse zyada azaab Tasveer islam me haraam hai 🧡💛❤️🧡💛❤️🧡💛❤️🧡💛  HADEES SHAREEF⤵️ Sab Se Ziyada Azaab Allah Ke Nazdeek Tasveer Banane Wale Ko Hoga.  📓MISHKAT J:2,S:188 ❤️🧡💛❤️🧡💛❤️🧡💛❤️🧡     HADEES SHAREEF⤵️ Qyamat ke Din ALLAH TAALA Ki Baargah Me Subse Ziyada Sakht Tarin Azaab Un Tasveer Banane Waalon Per Hai Jo KHUDA Ke Banae Huwe Ki Naql Kare.  📚BUKHARI 💛❤️🧡💛❤️🧡💛❤️🧡💛❤️       HADEES SHAREEF⤵️ Hazrat Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Hai Rasool Sallallaho Ta’ala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Her Tasweer Banane Wala Jahannum Me Hai,Her Tasweer Ke Badle Jo Isne Banayi Thi Allah Ta’ala Ek Makhlooq Paida Farmayega Jo Use Jahannum Me Azaab Deti Rahegi. Hazrate Abbas Radiyallahu Ta’ala Anhuma Ne Farmaya Agar Tumhare Liye Aisa Karna Zaroori Ho Jaye To Sajar Wa Hajar Jaisi Shakl Bana...

Etikaf ka bayan

 👉 https://youtu.be/-O4a52aAKgk 👈 Upar diya gaya link ke video ko zaroor sune (video me itekaf ka short bayaan hai) Etikaaf Ki 3 Qismein Hai. 1) Wajib 2) Sunnate Mu-Akkida 3) Mustahab  1) Etikaf-E-Wajib⤵️ Ye Mannat Ka Etikaf Hai Jaise Kisi Ne Mannat Maani Ke Fulah Kaam Ho Jayega. To Mai 1 Din Ya 2 Din Etikaf Karuga To Ye Etikaf Wajib Hai. Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etikafe Wajib Ke Liye Roza Shart Hai. Bagair Roza Ke Saheeh Nahin.  2) Etikaf-E-Sunnate Mu-Akkida⤵️ Ye Ramzan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.  Masla   20’Svi Ramzan Ko Suraj Doobte Waqt Etikaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30’Svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29’Svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle. Masla  Agar 20’Svi Taarikh Ko Baad Namaz-E-Magrib Etikaf Ki Niyat Ki To Sunnat-E-Mu-Akkida Adaa Na Hogi.  Masla  Ye Etikaf Sunnat-E-Mu-Akkida Kifaya Hai Ke Agar Sab Chhodh De To Sab Pakre Jayein Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayein. ...

Salam ki Fazilat Aur Ahmiyat

👉   https://youtu.be/pRyJ-FlwYuA   👈 ⤵️⤵️ 🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃 Upar diya gaya link ke video ko zaroor sune  Salam ki Fazilat Aur Ahmiyat  by -- Saqib Raza Mustafai •┈┈┈┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈┈┈┈• Salam ki Fazilat ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ آعَـوْذُ بِااللهِ مِـنَ الشَّــيْطَانِ الـَّرجِيْمِ ﺑِﺴْـﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ  اَلصَّـلٰوةُ وَالسَّــلَامُ عَلَيكَ یَا رَسُــوْلَ الله ﷺ •┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈• Salam ki Fazilat⤵️ Aur jub Tumhen Salam kiya Jaye to tum usse Accha jawabdo ya unhi Alfaz ko Loutado, Beshak Allah tala har cheez ka Hisab lene wala hai. ⤵️ Surah:Al-Nisa, Surah No:4, Aayat No:86 ❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️❤️ ﺑِﺴْـﻢِﷲِﺍﻟﺮَّﺣْﻤَﻦِﺍلرَّﺣِﻴﻢ  Aye Iman Walon! Apne Gharon k Siwa Aur Gharon me Na Jao Jub tak k Ijazat Na le lo Aur Wahan k Rahne Walon ko Salam na Karlo, Yahi Tumhare Liye sara sar Bahter hai ta k Tum Nasihat Hasil Karo. Agar wahan Tumhen koi Bhi na mil Sake to Phir Ijazat mile bagair Andar na Jao, Aur Agar Tum se Lout jane ko Kaha Jaye to tum Laout hi J...

PATAKHE FODNE KE NUQSANAT.... ISLAM ME PATAKHE FODNA KYU HARAM HAI?..... PATAKHE FODNA, BECHNA, JALANA, KHARIDNA, BACHCHO KO DILANA KAISA?....

 https://youtu.be/UaZ4wVtwFTY ⤵️⤵️ 🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃🔃 PATAKHE FODNE KE NUQSANAT ISLAM ME PATAKHE FODNA KYU HARAM HAI? PATAKHE FODNA, BECHNA, JALANA, KHARIDNA, BACHCHO KO DILANA KAISA?....... Upar diye gaye youtube link ke video ko zaroor sune ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆ PATAKHE FODNE KE NUQSANAT  ISLAM ME PATAKHE FODNA KYU HARAM HAI?  PATAKHE FODNA, BECHNA, JALANA, KHARIDNA, BACHCHO KO DILANA KAISA?....... 🔵SAWAL🔵 Islam me patakhe fodna kyun; haraam hai ? PATAKHE FODNA, BECHNA, JALANA, KHARIDNA, BACHCHO KO DILANA KAISA? 🔵JAWAB🔵 Patakhe Phodne me dasyon haraam kaam wajood me aate hai aur us me sekdon nuqsanat hai kis me se kuchh pesh kiye jate hai. 1. KAANO KE PARDE BAAR BAAR TEZ AWAZ SE KAMZOR HO JATE HAI 2. US KE DHUWEN SE AANKHEN KAMZOR HOTI HAI 3. BARUD WALI HAWA AUR DHUWA GALE ME JATI HAI JIS SE GALE AUR FEFDEN KO NUQSAN HOTA HAI 4. APNE AUR PADOSI KE JAAN MAAL KO KHATRE ME DALNA 5. HATH PER MUNH JAL JANE KA KHATRAH.Aur JAL JANE KE HAZARON WAQIYAT PESH AA CHUKE HAI. 6. ROC...

Allah Ta'ala ko upar wala kehna kaisa?

 https://youtu.be/y4Ea2zleXCw ⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️⬆️ Allah Ta'ala ko upar wala kehna kaisa By - Khalifa e Huzoor Tajushshariah  Mufti Sufi Kaleem Hanfi Razvi Sahab ( Upar link ka video zaroor soone ) ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ Sawal: Allah Kaha Hai Aur Iss Bare Mein Hamara Kya Aqeeda Hona Chahiye? Kai Log Upar Ki Janib Ishara Karte Hain. Jawab: Allah عزوجل Jism O Jismaniyyat Se Paak Hai. Us Ka Koi Makan Nahi. Is Liye Ke Makaan, Ya Jagah Manne Par Jism Bhi Manna Padega Aur Allah عزوجل Is Se Paak Be Niyaz Hai. Allah Ta'Aala Ko Upar Wala Kehna Jayaz Nahi Agar Is Jumla Se Allah Ta'Aala K Liye Jehat (Zaman o Makan)Ko Sabit Kare To Kufr Hai.. Aur Agar Bulandi o Bartari K Ma'ana Me Istemal Kare To Kufr Nahi Magar Is Qaul Ko Bura Jane Aur Agar Koi Is Tarah K Alfaz Istemal Kare To Use Mana Kiya Jaye •┈┈┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈┈┈• Post achhchhi lage to jyada se jyada share kare Sawab ki niyat se Ilm e Deen Sikhna Farz Hai Ilm e Deen Sikhne Ke Liye Hamare Group Ko Join Kare https://chat.whatsap...

Kya Ek Budhiya Hamare Nabi Par Kooda Daalti Thi?

  Kya Ek Budhiya Humare Nabi Par Kooda Daalti Thi? ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ Kya Ek Budhiya Humare Nabi Par Kooda Daalti Thi? Huzoor -e- Akram, Syed -e- Aalam ﷺ Ke Akhlaq -o- Kirdaar Ka Tazkira Karte Huye Ek Waqiya Bayaan Kiya Jaata Hai Ke Ek Boodhi Aurat Thi Jo Rozana Humare Nabi ﷺ Par Kooda Phenka Karti Thi Magar Humare Nabi ﷺ Use Kuchh Nahin Kehte The Wo Budhiya Jab Beemar Padi To Huzoor ﷺ Uski Iyadat Ke Liye Tashreef Le Gaye Aur Use Duayein Bhi Dee, Jab Us Budhiya Ne Ye Kareemana Andaz Dekha To Iman Le Aayi! Ye Waqiya Itna Mash'hoor Hai Ke Bachho Se Le Kar Boodho Tak Ko Zubaani Yaad Hai Agar Kisi Muqarrir Ko Taqreer Ke Liye "Akhlaq -e- Mustafa" Mauzu Diya Jaaye To Is Riwayat Ko Bayaan Kiye Bina Uski Taqreer Hi Mukammal Nahin Hogi Aur Ho Gayi To Ye Anokhi Baat Hai Kuchh Logon Ki Zubaano Par Ek Jumla Gardish Karte Rehta Hai Ke "Islam Talwar Se Nahin Phaila" Aur Is Jumle Ke Saath Ye Waqiya Aisa Juda Hua Hai Goya Ek Ke Baghair Dusra Adhura Hai Neez Ek Tabqa Jo Kehta Hai K...

Islam me Tond badhane ka hukm

               Tond ☆▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬☆ Hazrate Umar Faruque رضی الله تعالٰی عنه Ne Ek Tond Waale (Yaani Pet Baahar Nikle Huye) Shakhs Ko Dekha To Puchha : ما ھذا؟   "Ye Kya Hai?"  Us Ne Kaha Ke "Ye Allah Ki Taraf Se Barkat Hai"  Aap Ne Farmaya : Ye Barkat Nahin Balki Allah Ki Taraf Se Azaab Hai  📚مناقب امیر المومنین عمر بن الخطاب، ص194  •┈┈┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈┈┈• Hazrate Faruque -e- Aazam رضی الله تعالٰی عنه Farmate Hain :⤵️ Aye Logo! Apne Aap Ko Tond Waala Hone Se Bachao Yaani Khane Peene Ke Sabab Apna Pet Bada Hone Se Bachao Kyunki Motapa Tumhare Wujood Ko Kharaab Karne Waala, Buzdili Ko Paida Karne Waala, Namaz Mein Susti Dilane Waala Hai Aur Tum Par Zaroori Hai Ke Khane Peene Mein Ihtiyat Se Kaam Lo Kyunki Khane Peene Mein Miyana Rawi Jism Ko Durust Rakhti Hai, Israaf Se Bachati Hai 📓 انظر: فیضان فاروق اعظم، ج2، ص382  •┈┈┈┈┈┈┈••✦✿☆✿✦••┈┈┈┈┈┈┈• Agar Aap Tond Waala Nahin Banna Chahte To Apne Khaan Paan Par Tawajj...

AAINE YA SHEESHE KE SAMNE NAMAZ PADHNE KA BAYAN

 ➡ AAINE YA SHEESHE KE SAMNE NAMAZ PADHNE KA BAYAN ◽◽◽◽◽◽◽◽ *SAWAAL:-*  Ek masjid k mehrab me sheesha laga hua..namaz padhte waqt sheeshe me aks nazar aata hai....isk liye kya hukm hai.? 👉🏻 *JAWAAB* 👈🏻 🚦Alahazrat farmaate hain: "Mujhse aise shakhs ke baare me poochha gaya jisne aayine ke saamne Namaaz parhi, to maine jaayez hone ka fatwa diya, *kyunke na to aayine ki ibaadat ki jaati hai aur na usme koi surat chhapi hoti hai,* aur na ye kaafiro ki khaas aadat aur pehchaan me se hai. Haan, *agar Namaaz parhne ke dauraan usko apni harkatein ya'ni Ruku, Sajda, uthna, baithna waghaira nazar aati hon aur isko lagta hai ke ye usko Namaaz se ghaafil kar dengi, to usko aayine ke saamne hargiz Namaaz na parhni chahiye.*  📖 Jaddul Mumtaar: 1/311 & 312 🚦 Isi tarah SadrusShari'ah Hazrat Allaama Amjad Ali Rahmatullaahi Alaihi farmaate hain: "Aayina saamne ho to Namaaz me *karaahat nahi,* ke karaahat ki wajah taswir hai, aur taswir yahaan maujood nahi, aur agar aayine ko...