Balo me kala rang ya kali mehndi lagana kaisa?

☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

Sawal: ➡️ Balo me kala rang ya kali mehndi lagana kaisa?

Jawab: ➡️ Khalifa e Huzoor Tajushshariah_ Mufti Muhammad Sufi Kaleem Hanfi Razvi Sahab ⤵️

https://youtu.be/oKbOoCC7C1Q ⬅️

☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️☝️

Is link ke video ko zaroor sune ⤴️

☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆

اَلصَّـلٰوةُ وَالسَّــلَامُ عَلَيكَ یَا رَسُــوْلَ الله ﷺ
 بسم الله الرحمن الرحيم

☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆

Kaale rang ke ilawah har tarah ke rango se baal daadhi rang sakte hain

Kale Rang se baal o Dadhi rangna haraam hai

☆▬▬▬▬▬▬ஜ۩۞۩ஜ▬▬▬▬▬▬☆

💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚

Hadees shareef men hai Sarkar e aqdas ﷺ irshad farmate hain jo siyaah khizaab kare Allah ﷻ roz e qiyaamat uski taraf nazr e rahmat na farmayega

(Fatawa razviyyah jild 9 safah 31 hissa 1 )

💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚


Ek aur hadees shareef men hai keh jo siyaah khizaab kare qiyaamat men Allah تعالى uska munh siyaah (kaala karega)

(Fatawa razviyyah jild 9 safah 105 Hissa 2)

💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚


Aala hazrat azeemul barakat saiyyiduna imam ahmad raza fazil e barailvi رضى الله تعالى عنه irshad farmate hain
Siyaah khizaab (kaale rang se rangna) mutalaqan haraam hai
shahid e adal hai aurat ziyaadah iski muhtaaj hai keh shauhar ki nigaah men aaraasta ho jab use ye umoor tagauur e khalqillah ke sabab haraam o mujib e la’nat huye to mard par badarja e aula

(Fatawa razviyyah jild 9 safah 192 hissa 2 )

💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚 

Lihaza kaale rang se baal o daadhi rangna mard ko jayez nahi aur aurat ko bhi kaale rang se baal rangna jaayez nahi aur jis mihndi se kaala rang chadhta ho wo bhi jaayz nahi.

Mujaahid ke liye kaale rang ki ijazat hai.

💚❤️🧡💛🧡❤️💛🧡💛❤️💚

Iski poori tafseel Fatawa razviyyah jild 9 safah 30/31/32/33 pe mulahzah karen 

Aur aise rang se bhi bachen jo waza e fussaaq o fujjar hon


واللہ تعالی أعلم بالـصـواب

☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Aap Lougo se Gujarish he ki Post Padhte rahe Aur Dusre Musalman Bhaiyo tak Pahonchate Rahe.. Taaki Hamare Bhaiyo ke Ilm me Izafa hota rahe Aur Sawaab Paane me Aap bhi Saamil ho Jaaye.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Ilm e deen sikhna farz hai
Ilm e deen sikhne ke liye hamare group ko join kare ⤵️ 

https://chat.whatsapp.com/BeGC4EsKwOa59JrEAGwS9Z ⬅️

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Talib e dua ⤵️ 

Muhammad Emran Alam Razvi Amjadi

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

 ☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆☆

Comments

Popular posts from this blog

Mehmaan Nawazi Ke Masail o Fazail

Sunni aur Deobandi me kya farq hai?

AAINE YA SHEESHE KE SAMNE NAMAZ PADHNE KA BAYAN